Sindh kay basiyon kay naam
Altaf Hussain
London 26 January 2000
Iss Shah Latif ki dharti mein
Iss amn-o-pyar ki basti mein
Mein paida hooa iss dharti mein
Parwan charha iss basti mein
Khana bhi yahin ka khaya hai
Pani bhi issi dharti ka pya
Ab marna jeena sub kuch he
Iss dharti say hi jore leya
Phir mujh say door kyon rhetey ho?
Kyon mujh ko ghair samajhtey ho?
Mein tum say alug, tum mujh say judaa
Kyon aisi sochen rakhtey ho?
Apnon ko ghair samajhtey ho
Gheron ko apna samajhtey ho
Tum mano isey ya na mano
Yeh dharti meri dharti hai
Iss Shah Latif ki dharti ko
Mein apni dharti manta hoon
Ab iss kay silay mein tum mujh say
Kya chahtey ho? Yeh mujh say kaho
Kuch khul kar dil ki baat karo
Kuch mairay dil ki baat suno
Mein sub kuch wo kar guzroon ga
Tum mujh say jo bhi chahtey ho
Ik bar laga kar dil say mujhey
Tum apna samajh kar parkho to
Ik phool hoon mein apno kay leay
Aur aag hoon mein ghairoun kay leay
Seenay say laga kar daikho to
Dharti kay leay basti kay leay
Har din ye tamasha hota hai
Is dharti mein iss basti mein
Kay aapus mein hum lartey hein
Or dushman mauj hi kartay hein
Kub tak ye tamasha ho ga kay
Hum apna khoon hi kartay rahein
Aur saaray dushman, ghair subhi
Khushyoon ki mala japtay rahein
Ye sara tamasha khatm karein
Sub doori, talkhi mita dein hum
Dharti kay sukh ki khatir ub
Aapus mein aika kar lein hum
Tum haath jo aik baraho gay
Mein dono haath barahoon ga
Phir dil say dil mil jaain gay
Yoon hum sub aik ho jaain gay
THE END
Open Letter ( English Version )
Open Letter ( Urdu Version )
Open Letter ( Sindhi Version )
Sindhi Version (Poem)
Urdu Version (Poem)