RAAM
A famous poem of Hakim Ul Ummat Hazrat Allama Iqbal
Labrayz hay sharab-e-haqiqat
say jaam-e-Hind
Sub falsafee hayn khitta-e-maghrib kay Raam-e-Hind
Ye hindiyon kay fikr-e-falak rus kaa hay asar
Rifat may aasmaan say bhi ooncha hay baam-e-Hind
Iss dayss may hooee hayn hazaron malak sarisht
Mash'hoor jin kay dum say hay dunya may naam-e-Hind
Hay Raam kay wajood pe Hindustan ko naaz
Ahl-e-nazar samajhtey hayn uss ko Imam-e-Hind
Aijaz uss chiragh-e-hidayat kaa hay yehee
Roshan ter az sehar hay zamanay may shaam-e-Hind
Talwaar kaa dhanee thaa, shuja'at may fard thaa
Pakeezgee may josh-e-mohabbat may fard thaa